Saturday, 17 December 2011

Mera dil badal dai

Badal de Dil ki duniya dil badal day
Mera Ghaflat mein dooba dil badal day

Hawa-o-Hirs wala dil badal day
Mera Ghaflat mein dooba dil badal day

Badal de Dil ki duniya dil badal day
Khudaya Fazl farmaa dil badal day

Gunah gaari main kab tak Umr kaatoun

Badal day Mera rasta dil badal day

Sunoun Main naam Tera dharkanon Main
Maza aajaye Maula dil badal day

Hataaloun aankh apni Maa-siwa say
Jiyoun Mein Teri khatir dil badal day

Karoun Qurbaan Apni Saari Khushiyaan
Tu apna ghum ata kar dil badal day

Sehal farmaa musalsal yaad apni
Khudaya Reham farmaa dil badal day

Para houn Teray dar par dil shikasta
Rahoun kyu dil shikasta dil badal day

Tera hojaoun itni arzoo hay
Bas itni hay tamanna dil badal day

Meri faryaad sunlay Meray Maula
Banalay apna banda dil badal day

Tera hojaoun itni arzoo hay
Bas itni hay tamanna dil badal day

Meri faryaad sunlay Meray Maula
Banalay apna banda dil badal day

Dilay magmoom ko masroor karday
Dil-e-be noor ko purnoor karday

Faroza dil mein sham-e-toor karday
Yay gosha noor say ma�moor karday

Mera zahir sanwar jaaye Ilaahi
Meray baatin ki zulmat door karday

Hay meri ghaat mein khud nafs mera
Khudaya isko dey maqdoor karday

Mera zahir sanwar jaaye Ilaahi
Meray baatin ki zulmat door karday

Ma-e-wahdat Pila maqmoor karday
Mohabbat k nashay main choor karday

Mera zahir sanwar jaaye Ilaahi
Meray baatin ki zulmat door karday

No comments:

Post a Comment