Monday, 2 January 2012

Pegham-e-saba lai hay gulzar'e nabi sai

Pegham saba laye hai gulzar-e-nabi se
aaya hai bulawa mujhe darbar-e-nabi se

shukar-e-khuda k aj ghari us safar ki hay
jis per nisar jaan flah-o-zafar ki hay

pegham saba laye hai gulzar-e-nabi se
aaya hai bulawa mujhe darbar-e-nabi se


her aah gaye arsh pe ye aah ki kismat
her ashk pe aik khuld hai her ashk ki qeemat
tohfa ye mila hai mujy sarkar-e-nabi se
ayaa hai bulawa mujhe darbare-nabi se

pegham saba laye hai gulzar-e-nabi se
aaya hai bulawa mujhe darbar-e-nabi se

kaabay ka naam tak na liyaa taiba hi kaha
pocha tha hum say jis nay k moudat kidher ki hay
us kay toufail haj kuda nay kara diyee
asal-e-horaar hazri us pak dar ki hay

pegham saba laye hai gulzar-e-nabi se
aaya hai bulawa mujhe darbar-e-nabi se

Garmi hay tab hay dard hay ulfat safar ki hay
naa shukar yea tu daikh azeemat kidher ki hay

pegham saba laye hai gulzar-e-nabi se
aaya hai bulawa mujhe darbar-e-nabi se

Hum jayee or qadam say lipat kar haram kahay
sonpa kuda ko tujh ko yea azmat safar ki hay

pegham saba laye hai gulzar-e-nabi se
aaya hai bulawa mujhe darbar-e-nabi se

waro qadam qadam per k har dam hay jaan lo
yea rah-e-jaan fiza maray moula ki hay

aaya hai bulawa mujhe darbar-e-nabi se
pegham saba laye hai gulzar-e-nabi se

bhaati nahi humdum kisay jannat ki jawaani
sunta bhi zahid us mein hooron ki kahani
ulfat hai mujhe sayaa-e-deewar-e-nabi se

ayaa hai bulawa mujhe darbare-nabi se
pegham saba laye hai gulzar-e-nabi se

irfan ki kasak khulq ki mai sabr ka saagar
kiya lutf mila kerta hai jo dete hein sarwar
ye pooch le aake koi beemar-e-nabi se
aaya hai bulawa mujhe darbar-e-nabi se
darbar-e-nabi se

pegham saba laye hai gulzar-e-nabi se
aaya hai bulawa mujhe darbar-e-nabi se
darbar-e-nabi se

pegham saba laye hai gulzar-e-nabi se
aaya hai bulawa mujhe darbar-e-nabi se
darbar-e-nabi se

No comments:

Post a Comment